gham mira dushman-e-jani hai kaho ya na kaho
mere aansu ki zabani hai kaho ya na kaho
raat parvane ke matam men gudaz-e-dil se
shama ki ashk-fishani hai kaho ya na kaho
ghuncha-e-gul ke taiin dekhte hi ham ne kaha
dil-e-pur-khun ki nishani hai kaho ya na kaho
matha ghisne se mire mahr-jabin ke dar par
subh ki ujli peshani hai kaho ya na kaho
mayyat-e-ishq ka gar dekho rukh-e-nurani
maghfirat ki ye nishani hai kaho ya na kaho