ye hijr ka rasta hai dhalanen nahin hotin
sahra men charaghon ki dukanen nahin hotin
khushbu ka ye jhonka abhi aaya hai udhar se
kis ne kaha sahra men azanen nahin hotin
kya marte hue log ye insan nahin hain
kya hanste hue phulon men janen nahin hotin
ab koi ghazal-chehra dikhai nahin deta
ab shahr men abru ki kamanen nahin hotin
in par kisi mausam ka asar kyuun nahin hota
radd kyuun tiri yadon ki udanen nahin hotin
ye sher hai chhup kar kabhi hamla nahin karta
maidani ilaqon men machanen nahin hotin
kuchh baat thi jo lab nahin khulte the hamare
tum samjhe the gungon ke zabanen nahin hotin
Leave a Reply