duniya kahin jo banti hai miTti zarur hai
parde ke pichhe koi na koi zarur hai
jaate hain log ja ke phir aate nahin kabhi
divar ke udhar koi basti zarur hai
mumkin nahin ki dard-e-mohabbat ayaan na ho
khilti hai jab kali to mahakti zarur hai
ye jante hue ki pighalna hai raat bhar
ye sham.a ka jigar hai ki jalti zarur hai
nagin hi janiye use duniya hai jis ka naam
laakh astin men paliye Dasti zarur hai
jaan de ke bhi ḳharido to duniya na aa.e haath
ye musht-e-ḳhak kahne ko sasti zarur hai
Leave a Reply