ye haqiqat hai vo kamzor hua karti hain
apni taqdir ka qaumen jo gila karti hain
ret par jab bhi banata hai gharaunda koi
sar-phiri maujen use dekh liya karti hain
main gulistan ki hifazat ki dua karta huun
bijliyan mere nasheman pe gira karti hain
jaane kya vasf nazar aata hai mujh men un ko
titliyan mere taaqub men raha karti hain
teri dahliz se nisbat jise ho jaati hai
azmaten us ke muqaddar men hua karti hain
kyuun na gul-buton ke chehron pe nikhar aa jaae
ye havaen jo tira zikr kiya karti hain
apni nazron men jo rakhta hai tire naqsh-e-qadam
manzilen us ke taaqub men raha karti hain
chain ki niind mujhe aae to kaise aae
meri ankhen jo tira khvab buna karti hain
us ki rahmat ke diye jo bhi hain raushan ‘afzal’
andhiyan un ki hifazat men raha karti hain
Leave a Reply