ye gard-e-rah ye mahaul ye dhuan jaise
hava ke ruḳh pe ho tahrir dastan jaise
hamara rabt-o-ta.alluq hai chand shamon ka
shajar pe ta.ir-e-mausam ka ashiyan jaise
ajiib ḳhauf sa hai pattharon ki zad par huun
badan ho apna koi kanch ka makan jaise
ye asman-o-zamin ka tilism kab TuuTe
har ik vajud muallaq ho darmiyan jaise
lab-o-dahan se koi kaam hi nahin leta
har ek baat hai na-qabil-e-bayan jaise
Leave a Reply