ye duniya tum ko raas aa.e to kahna
na sar patthar se Takra.e to kahna
ye gul kaghaz hain ye zevar hain pital
samajh men jab ye aa jaa.e to kahna
bahut ḳhush ho ki us ne kuchh kaha hai
na kah kar vo mukar jaa.e to kahna
badal jaoge tum gham sun ke mere
kabhi dil gham se ghabra.e to kahna
dhuan jo kuchh gharon se uTh raha hai
na puure shahar par chha.e to kahna
Leave a Reply