yahi din to azal se meri qismat tha
magar ankhon men sahra ne bhari vo ret
sab tarik lagta tha
main kitne hi sarabon aur azabon se thi guzri
khushk honton par duaen bhi nahin thiin
abhi to asman dekha tha main ne
nishan tak bhi nahin tha badalon ka
ajab din hai
sar-e-sahra hai vo jal-thal
ki ham yuun
bhigte chhinte udate
muskurate manzaron ke aine men
dekhte hain aks
jo ankhon men khulte hain!
ragon men saaton ki
ek sarshari samai hai
yahi ik din to meri zindagi bhar ki kamai hai
isi ki kokh se ubhrenge
sad-ha muskurate din
bhula baithe vo saal o sin
ki jab is zindagi ko ek pal fursat nahin thi
aa ke mil leti
ye dekho! zindagi ne aaj khud aa ke pukara hai
yaqin hai
ab se har lamha hamara hai!
Leave a Reply