ye dil bas men kabhi mere raha na.iin
kabhi yadon ka daman chhoḌta na.iin
bhula.en kaise amrohe ki galiyan
abhi lahje se amroha gaya na.iin
yahin gum-karda apna ashiyan tha
jahan baaqi koi ab ashna na.iin
shikasta ho chuke mehrab-o-dar sab
abhi tak zehn se naqsha gaya na.iin
hamare naam ki taḳhti nahin hai
magar vo ghar to ḳhvabon se gaya na.iin
main samjhun huun tumhari be-qarari
miyan guzra zamana lauTta na.iin
kisi saffak hijrat ke sitam se
zamin se apna rishta TuTta na.iin
tumhari sha.irana be-ḳhudi ko
kisi sarhad pe koi rokta na.iin
bahut thi dhuum jashn-e-reḳhta men
tumhare naam ki tum ne suna na.iin
tumhari sha.iri par sar dhune hain
magar ye log urdu ashna na.iin
paḌi hai sha.iri ghuTTi men ‘azra’
magar kuchh mo’atabar ab tak kaha na.iin
Leave a Reply