surat-e-hal ab to vo naqsh-e-ḳhayali ho gaya
jo maqam ma-siva tha dil men ḳhali ho gaya
mumtana.a jo tha vo hai zeb-e-badahat qalb ko
jo yaqini amr tha vo ehtimali ho gaya
chhoḌi ḳhud-bini to ab har shai men husn aaya nazar
dida-e-haq-bin jalali se jamali ho gaya
zauq-e-nazzara ye hai ankhon par ab rakhta huun main
zarre zarre ko jo nazar-e-pa.emali ho gaya
zo.am aur pindar ka haq-ul-yaqin se hai badal
vo gharonda ab to fanus-e-ḳhayali ho gaya
aankh uTh kar husn-e-qudrat se jo apne par ga.i
sab ḳhudi ka rang rang-e-infi.ali ho gaya
pahle is men sar tha ai samsam ishq aur jaan thi
kyunki milta tujh se aa ab haath ḳhali ho gaya
ghairat-e-dil-dada-o-dil-dar ki jaati rahi
ab to jo hona tha ai aqa-e-ali ho gaya
vajah-e-ilm-e-zat ho kyunkar na irfan-e-sifat
kya arz ki shaan jab jauhar se ḳhali ho gaya
jo raha ḳhuddar hone par ḳhudi se duur duur
vo dayar-e-ishq o dil-sozi ka vaali ho gaya
hai ḳhata us ko agar ashiq kaho tum jis ka ishq
ḳhatm jab us ne murad ik apni pa li ho gaya
jazba-e-isar kya quvvat amal ki phir kahan
jab shu.ur insan ka sarf-e-la-ubali ho gaya
ai qadamat-kesh sun ye alam-e-ijad hai
naam jiddat ka azal men la-yazali ho gaya
chhoḌ kar lutf-e-suḳhan maghz-e-suḳhan se kaam lo
kya hua ‘kaifi’ jo garam-e-ḳhush-maqali ho gaya
Leave a Reply