ye bhi nahin ki dast-e-dua tak nahin gaya
mera saval ḳhalq-e-ḳhuda tak nahin gaya
phir yuun hua ki haath se kashkol gir paḌa
ḳhairat le ke mujh se chala tak nahin gaya
maslub ho raha tha magar hans raha tha main
ankhon men ashk le ke ḳhuda tak nahin gaya
jo barf gir rahi thi mire sar ke as-pas
kya likh rahi thi mujh se paḌha tak nahin gaya
‘faisal’ mukalima tha havaon ka phuul se
vo shor tha ki mujh se suna tak nahin gaya
Leave a Reply