ye aarzū hai ki ab koī aarzū na rahe
kisī safar kisī manzil kī justujū na rahe
ajiib dil hai isī dil kā ab taqāzā hai
kisī bhī bazm meñ ab us kī guftugū na rahe
maza tabhī hai mohabbat meñ ġharq hone kā
maiñ Duub jā.ūñ to ye ho ki tū bhī tū na rahe
batāo un kī ibādat qubūl kyā hogī
namāz-e-ishq meñ jo log bā-vazū na rahe
ḳhudā banā diyā un ko merī mohabbat ne
hamesha dil meñ rahe aur rū-ba-rū na rahe