dosto tum ne ajab ye ehtimam-e-gham kiya
qatl suraj kar diya phir raat bhar matam kiya
yaad rakhegi ye duniya us ko sadiyon dosto
jan-e-bar-haq jis ne de di sar na lekin kham kiya
kamyabi kis tarah hoti hamen hasil bhala
sochte aksar rahe ham kaam lekin kam kiya
karzar-e-zindagi men khud ko ham ne dosto
barha shoala kiya to barha shabnam kiya
ek muddat se hamare darmiyan thi dosti
us ne kaise dushmani ka faisla ik dam kiya
vahshaten palne lagin ‘masud’ saare shahar men
jab se milna aadmi ne aadmi se kam kya