Yar Jab Nainon Mein Aaya Hu-Ba-Hu

yaar jab nainoñ meñ aayā hū-ba-hū

jyuuñ sunā tyuuñ us meñ paayā hū-ba-hū

qaal kaañ hotā muqābil haal ke

nuur kā sab amr chhāyā hū-ba-hū

mutrib-e-zātī apas ke ishq suuñ

taar sirrī kā bajāyā hū-ba-hū

husn jo rakhtā thā apnī zaat meñ

saat sifatāñ meñ dikhāyā hū-ba-hū

jo athā maḳhfī o bātin meñ tamām

vo nikal apne suuñ paayā hū-ba-hū

juuñ shajar meñ tuḳhm-e-hāsil hai kamāl

tyuuñ ‘alīmullāh’ batāyā hū-ba-hū

Leave a Comment