yaqin ho to koi rasta nikalta hai
hava ki oT bhi le kar charagh jalta hai
safar men ab ke ye tum the ki ḳhush-gumani thi
yahi laga ki koi saath saath chalta hai
ghilaf-e-gul men kabhi chandni ke parde men
suna hai bhes badal kar bhi vo nikalta hai
likhun vo naam to kaghaz pe phuul khilte hain
karun ḳhayal to paikar kisi ka Dhalta hai
ravan-davan hai udhar hi tamam ḳhalq-e-ḳhuda
vo ḳhush-ḳhiram jidhar sair ko nikalta hai
ummid o yaas ki rut aati jaati rahti hai
magar yaqin ka mausam nahin badalta hai
Leave a Reply