yaqin hai jis pe vahi bad-guman nikalta hai
miri zamin se us ka makan nikalta hai
hamare shahr men hota hai saneha lekin
ḳhata kahan ki hai ghussa kahan nikalta hai
ye aur baat ki vo paak sar-zamin hai magar
vahan ki ḳhaak se hindostan nikalta hai
mire liye to akela ḳhuda bahut hai magar
tumhare vaste saara jahan nikalta hai
siyah raat sitare bujhati rahti hai
ye mera ḳhvab-sitara kahan nikalta hai
safar hai dhuup samundar ka aur jazire sa
kahin kahin pe koi sa.eban nikalta hai
mana raha hai vo jashn-e-shabab maqtal men
har ek laash ka chehra javan nikalta hai
tumhare ghar men abhi kitni raushni hogi
hamare ghar se abhi tak dhuan nikalta hai
kaha kisi ne siyah-posh ho gaya ‘ḳhurshid’
suna kisi ne dam-e-kahkashan nikalta hai
Leave a Reply