
Zakia Ghazal
tira mizaj ho barham ye kab gavara hai
yahi ḳhushi hai hamari ki tu hamara hai
ye chand-rat ye jugnu ye teri yaad ki lau
is ehtimam-e-mohabbat men din guzara hai
jo be-sabab hi kisi or chal paḌe hain ham
to zindagi ka bhala kis taraf ishara hai
ye kya hua hai koi faisla nahin hota
ki mere haath men jugnu hai ya sitara hai
ye kaisi vahshat-e-nayab muzmar-e-jan hai
hain paanv raqs men jalta hua sharara hai
tapish bahut thi tiri yaad ki magar ham ne
tiri hi yaad se mausam zara sanvara hai
main dushmanon ko kabhi muaaf kar nahin paa.i
magar ḳhuda ki ḳhuda.i ne dil nikhara hai
vo kis kamal se mujh ko badal raha hai ‘ghazal’
mohabbaton ka yahi ek isti.ara hai

Leave a Reply