yahi nahin ki nigahon ko ashk-bar kiya
tire firaq men daman bhi taar taar kiya
mata-e-ishq yahi hasil-e-hayat yahi
ḳhulus nazr kiya aur dil nisar kiya
yahi bas ek ḳhata vaj.h-e-be-qarari thi
jo reg-zar men baran ka intizar kiya
zar-e-bayan se muzayyan nuqush-e-husn kiye
mata-e-harf ko mid.hat-sara-e-yar kiya
palaT ke aa ga.e naale jo asmanon se
ḳhuda ko chhoḌ diya kufr iḳhtiyar kiya
Leave a Reply