yahan se to ab rasta hi nahin
to kya koi aage gaya hi nahin
udhar ki hi shayad khabar kuchh mile
udhar ka to koi pata hi nahin
vahi shahr jis ka bahut shor tha
suna hai kuchh ab bolta hi nahin
kahan tak yuun hi khud ko dete sada
vahan to koi aur tha hi nahin
Leave a Reply