yahan ki fikr vahan ka ḳhayal rakkha hai
akele donon jahan ko sambhal rakkha hai
siyah gesu ko shanon pe Daal rakkha hai
bala ka saanp sapere ne paal rakkha hai
mujhe to hashr ke va.ade pe Taal rakkha hai
ajal ka naam badal kar visal rakkha hai
ye din ke dosh pe bikhri hain shaam ki zulfen
ki ik machhere ke kandhe pe jaal rakkha hai
jis aftab ko samjhe the sab ki Duub gaya
use gilass men rindon ne Dhaal rakkha hai
ye kaun aisi pari hai ki jis ko rindon ne
zamin se ta-ba-surayya uchhal rakkha hai
hamari tauba ka ḳhuun hai ki bada-e-rangin
ye jaam jaam men kya laal laal rakkha hai
zamana deta hai mujh ko zaval ki dhamki
na jaane kaun sa mujh men kamal rakkha hai
‘nazir’ mar ke chukana paḌega qarz-e-hayat
nahin gar aaj to kal intiqal rakkha hai
Leave a Reply