itna to jante hain ki ashiq fana hua
aur us se aage badh ke khuda jaane kya hua
shan-e-karam thi ye bhi agar vo juda hua
kya mehnat-e-talab men na hasil maza hua
main aur ku-e-ishq mire aur ye nasib
zauq-e-fana khizar ki tarah rahnuma hua
pahchanta vo ab nahin dushman ko dost se
kis qaid se asir-e-mohabbat riha hua
shayan-e-darguzar hai agar iztirar men
jurm-e-daraz-dasti-e-zauq-e-dua hua
kya kya na us ne puure kiye muddaa-e-dil
lekin pasand use dil-e-be-muddaa hua
us ka pata kisi se na puchho badhe chalo
fitna kisi gali men to hoga utha hua
gul-ruyon ke khayal ne gulshan bana diya
siina kabhi madina kabhi karbala hua
pechida thi jo sar men hava-e-raza-e-dost
‘asi’ murid-e-silsila-e-murtaza hua