bahar-e-zist ki mahrumiyan are tauba
dil-e-shagufta ki nakamiyan are tauba
visal-e-yar ki hasrat are ma.az-allah
firaq-o-shauq ki betabiyan are tauba
payam-e-davat-e-mai nim-baz ankhon se
nigah-e-naz ki ranginiyan are tauba
ḳhuda ne ishq ko majburiyon ka gham de kar
likhin nasib men barbadiyan are tauba
hamari aankh se aansu bhi shams’ bah na sake
dil-e-gharib ki majburiyan are tauba
Leave a Reply