yadon ki jagir na hoti to main yaaro kya karta
gar us ki tasvir na hoti to main yaaro kya karta
us ke dam se ranjha tha main vo hi miri pahchan bani
vo gar meri hiir na hoti to main yaaro kya karta
qaail karna kaam tha mushkil par vo qaail ho hi gaya
lahje men tasir na hoti to main yaaro kya karta
mera kaam tamam tha varna us ke nek irade se
hathon men shamshir na hoti to main yaaro kya karta
andar se main tuta-phuta ek khandar virana tha
zahir jo taamir na hoti to main yaaro kya karta
zulmat-e-shab men raushan ‘afzal’ ik nanha sa jugnu tha
itni bhi tanvir na hoti to main yaaro kya karta