sulagta dasht yakayak bujha nahin karta
ye vaqt-e-hijr hai aise kaTa nahin karta
zara sa farq hai shishe men aur is dil men
ye TuTta to hai lekin sada nahin karta
dilon men ishq ki kheti afiim jaisi hai
ki is ke ba.ad yahan kuchh uga nahin karta
kuchh ek log mohabbat se ḳhauf khate hain
sabhi ko mausam-e-baran hara nahin karta
pata ye hijr se itna to chal gaya mujh ko
koi kisi se bichhaḌ kar mara nahin karta
ye zaḳhm lazmi hai haal ki gavahi ko
yahi main soch ke in ki dava nahin karta
kuchh ek roz se ik bekali si rahti hai
kahin vo yaad to mujh ko kiya nahin karta
Leave a Reply