yaad us ki hai bahut ji mira bahlane ko
jis ne afsana banaya mire afsane ko
shaam se sub.h hui sub.h se phir shaam hui
dil ne jab chheḌ diya dard ke afsane ko
aa ga.i yaad kisi ki nigah-e-mast mujhe
abhi honTon se lagaya hi tha paimane ko
ab na saghar ki havas hai na tamanna-e-bahar
tere daman ki hava mil ga.i divane ko
lazzat-e-tishna-labi yaad jo aa.i ‘shariq’
rakh diya main ne uTha kar vahin paimane ko
Leave a Reply