yaad men apne yar-e-jani ki
ham ne mar mar ke zindagani ki
doston ko adu kiya ham ne
kar ke tarif yar-e-jani ki
kyuun na rusva kare zamane men
ye kahani gham-e-nihani ki
ruuh huegi hashr men sahab
ik nishani sara-e-fani ki
khaksari se badh gaya insan
arz par sair asmani ki
zard surat pe hijr men na hanso
sharh hai rang-e-zafrani ki
aaj kal lucknow men ai ‘akhtar’
dhuum hai teri khush-bayani ki
Leave a Reply