yaad ki basti ka yuun to har makan ḳhali hua
bas gaya tha jo ḳhala sa vo kahan ḳhali hua
raat bhar ik aag si jalti rahi thi aankh men
aur phir din bhar musalsal ik dhuan ḳhali hua
ḳhud-ba-ḳhud ik dasht ne tashkil paa.i aur phir
lamha bhar men ek shahr-e-be-karan ḳhali hua
aaj jab us lutf-e-saya ki zarurat thi hamen
kam-nasibi ye ki dast-e-mehrban ḳhali hua
rafta rafta bhar gaya har suud se apna bhi ji
rafta rafta dil se ehsas-e-ziyan ḳhali hua
aaj se ham bhi akele ho ga.e is bhiiḌ men
dhyan men tha jo bhara sa asman ḳhali hua
Leave a Reply