• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Yaad Aate Ho Kis Saliqe Se

Yaad Aate Ho Kis Saliqe Se

yaad aate ho kis saliqe se

jaise barish ho vaqfe vaqfe se

yaad koi rahi ho vabasta

jaise har rut ke ḳhaas lamhe se

jaise ye bhi ho husn ka andaz

baat karna magar taqaze se

mausam-e-gul ko koi batla do

dil bhi khilta hai phuul khilne se

raat ka apna husn hota hai

raat ko dekh din ke shishe se

mere siine men rakh gaya har dard

mera hamdard kis qarine se

ik shahadat hai raah men marna

maut hai lauT jaana raste se

lutf unchi uḌaan men kya hai

puchh lena kisi parinde se

har muḳhalif hai vajib-ul-qatl aaj

tere islam ke havale se

kar-farma hai kya pas-e-alfaz

kitna vazeh hai tere lahje se

kaun si baat ho ga.i aisi

yaar uThne lage hain chupke se

dekh raftar-e-zindagi ‘ruhi’

ruk ga.i gaaḌi ek jhaTke se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

aazim-kohli

Silsile Sab Ruk Gae dil Hath Se Jata Raha

Bahut Din Tak Koi Chehra Mujhe Achchha Nahin Lagta

Sahra Base Hue the Hamari Nigah Mein

Harim-E-Lafz Mein Kis Darja Be-Adab Nikla

Kash Iqrar Kar Liya Hota

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet