miTa dete hain hasti ko riya-kari nahin karte
tire bande dikhave ki vafadari nahin karte
himala ki bulandi bhi qadam-bosi ko gar utre
zamin vaale zamin ke saath ghaddari nahin karte
hamari tishna-kami ḳhud hava deti hai shiddat ko
ajab badal hain pyason ki taraf-dari nahin karte
bana rakha hai kanTon par gharaunda gul ne ḳhushbu ka
bila maqsad to bhaunre naz-bardari nahin karte
jhulasti dhuup ko ham oḌh lete hain kabhi sar par
kabhi ham jism ke saa.e se bhi yaari nahin karte
munafiq ho agar mausam badal jaate hain chehre tak
ḳhushamad karne vaale bhi taraf-dari nahin karte
kashakash men zamane ki basar-auqat mushkil thi
to kya karte agar ‘najmi’ adakari nahin karte
Leave a Reply