ya dar mujhe tera hai ki main kuchh nahin kahta
ya hausla mera hai ki main kuchh nahin kahta
hamrah raqibon ke tujhe baagh men sun kar
dil dene ka samra hai ki main kuchh nahin kahta
kahta hai bahut kuchh vo mujhe chupke hi chupke
zahir men ye kahta hai ki main kuchh nahin kahta
kahta hai tu kuchh ya nahin ‘asif’ se ye tu jaan
yaan kis ko sunata hai ki main kuchh nahin kahta
Leave a Reply