• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wusat-E-Chashm Ko Andoh-E-Basarat Likkha

Wusat-E-Chashm Ko Andoh-E-Basarat Likkha

vus.at-e-chashm ko andoh-e-basarat likkha

main ne ik vasl ko ik hijr ki halat likkha

main ne likkha ki saf-e-dil kabhi ḳhali na hui

aur ḳhali jo hui bhi to malamat likkha

ye safar paanv hilane ka nahin aankh ka hai

main ne is baab men rukne ko masafat likkha

likhne valon ne to hone ka sabab likkha hai

main ne hone ko na hone ki vazahat likkha

ashk agar sab ne likhe main ne sitare likkhe

ajizi sab ne likhi main ne ibadat likkha

main ne ḳhushbu ko likha dastaras-e-gumshudagi

rang ko fasla rakhne ki ri.ayat likkha

zaḳhm likhne ke liye main ne likhi hai ghaflat

ḳhuun likhna tha magar main ne hararat likkha

main ne parvaz likhi hadd-e-falak se aage

aur hai bal-o-pari ko bhi nihayat likkha

husn-e-goya.i ko likhna tha likhi sargoshi

shor likhna tha sau azar-e-sama.at likkha

itne davon se guzar kar ye ḳhayal aata hai

‘azm’ kya tum ne kabhi harf-e-nadamat likkha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

zehra-nigaah

Wo Kitab

Koi Shafqat Bhari Sarkar Nahin Hai Ghar Mein

ahmad-ata

donon Ke Jo darmiyan Khala Hai

dilon Ki Or dhuan Sa dikhai deta Hai

Ab Kahan Uski Zarurat Hai Hamein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet