vo zamin par na asman men tha
aag paani ke darmiyan men tha
jism-o-jan men ajab raqabat thi
ishq be-chara imtihan men tha
sar-ba-kaf main bhi tha sar-e-maqtal
tiir vo bhi liye kaman men tha
samne barf ki nadi thi magar
band ankhen kiye vo dhyan men tha
par sameTe hue jo baiTha hai
vo parinda kabhi uḌaan men tha
agahi ruuh tak jala degi
doston ye kahan guman men tha
vaqt ne ham se vo bhi chhin liya
ik sahara jo ḳhandan men tha
dar-pa-e-qatl hai jo aaj ‘niyaz’
ye ilaqa miri kaman men tha
Leave a Reply