Wo Zamana-Saz Bhi Tha Aur Wafa-Pesha Bhi Tha

vo zamāna-sāz bhī thā aur vafā-pesha bhī thā

maiñ ne chāhā hī nahīñ us shaḳhs ko samjhā bhī thā

thī tamāzat ishq kī itnī ki vo vāpas gayā

saath chalne ke liye kuchh duur tak aayā bhī thā

ye haqīqat hī sahī lekin use mānegā kaun

log pyāse bhī rahe aur aañkh meñ dariyā bhī thā

is qadar chāhā use jitnā nahīñ chāhe koī

ye mohabbat hī nahīñ us se mirā badlā bhī thā

ḳhud yaqīñ dil ko na thā is se judā hone talak

vo judā ho jā.egā is baat ko sochā bhī thā

hijr kī shab meñ jo merī aañkh se Dhalkā nahīñ

vo sitāra thā jo sub.h-e-vasl meñ chamkā bhī thā

dasht-e-vīrāñ meñ kahīñ kuchh phuul bhī haiñ yaad ke

sirf chhāyā hī nahīñ bādal kabhī barsā bhī thā

is shanāsā.ī kā da.avā nā-shanāsī hī to hai

mujh ko dekhā bhī thā jis ne aur jo chauñkā bhī thā

ab maiñ lab-basta huuñ ‘ādil’ to faqat is vāste

sirf samjhā hī nahīñ us shaḳhs ko chāhā bhī thā

Leave a Comment