vo to main aag jalane se miyan vaqif tha
varna tu apne qabile se kahan vaqif tha
ant men kya hua raavi ne bataya hi nahin
yuun kahani se to kahne ko jahan vaqif tha
aag men koi badan tha ki jo azad hua
ya.ani a.aza ke tanasub se dhuan vaqif tha
raat kutton ne saḌak sar pe uTha rakkhi thi
aur aaseb ki aamad se makan vaqif tha
sandrila ne qaba phaaḌ ke rassi baT li
aur is baat se bas dev ka guman vaqif tha
Leave a Reply