vo tabassum tha jahan shayad vahin par rah gaya
meri ankhon ka har ik manzar kahin par rah gaya
main to ho kar aa gaya azad us ki qaid se
dil magar is jald-bazi men vahin par rah gaya
kaun sajdon men nihan hai jo mujhe dikhta nahin
kis ke bose ka nishan meri jabin par rah gaya
ham ko aksar ye ḳhayal aata hai us ko dekh kar
ye sitara kaise ghalati se zamin par rah gaya
ham labon ko khol hi kab paa.e us ke samne
ik naya ilzam phir dekho hamin par rah gaya
Leave a Reply