
Bekhud Dehlvi
vo sun kar huur ki tarif parde se nikal aa.e
kaha phir muskura kar husn-e-zeba is ko kahte hain
ajal ka naam dushman dusre ma.ani men leta hai
tumhare chahne vaale tamanna is ko kahte hain
mire madfan pe kyuun rote ho ashiq mar nahin sakta
ye mar jaana nahin hai sabr aana is ko kahte hain
namak bhar kar mire zaḳhmon men tum kya muskurate ho
mire zaḳhmon ko dekho muskurana is ko kahte hain
zamane se adavat ka sabab thi dosti jin ki
ab un ko dushmani hai ham se duniya is ko kahte hain
dikhate ham na a.ina to ye kyuun kar nazar aata
bashar huron se achchha tum ne dekha is ko kahte hain

Leave a Reply