• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Meri Jaan Judai Na Hogi To Hogi

Meri Jaan Judai Na Hogi To Hogi

poet

miri jaan judai na hogi to hogi

kisi din ladai na hogi to hogi

unhen sharm hai aur yahan shauq-e-behad

agar hatha-pai na hogi to hogi

nahin itni jurat ki qadmon pe girye

ki un se safai na hogi to hogi

zara jazba-e-dil madad kar khudara

jo un tak rasai na hogi to hogi

na kuchh husn o khubi men farq aaya hoga

ye daulat lutai na hogi to hogi

rihai asir-e-mohabbat ko tere

agar maut aai na hogi to hogi

nae zulm ijad karte raho tum

jahan men duhai na hogi to hogi

nahin baak ghairon se milne men un ko

jo dil men burai na hogi to hogi

har ik baat par afrin jab kahen sab

to phir khud-satai na hogi to hogi

mohabbat ki jo aankh thi aage teri

jo tu ne churai na hogi to hogi

mohabbat ka gar khul gaya haal un par

to ‘anjum’ rukhai na hogi to hogi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Gesu O ruKHsar Ki Baaten Karen

nida-fazli

Waqt Se Pahle

Aksar Jue Ke Khel Mein Haari Gai Hun Main

Sochta Hun Ki Haal Kya Hoga

Har Lamha Nam-Dida Rahne Ki Aadat

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet