vo sair-e-gul ke vaste aa hi nahin raha
so ab vo lutf-e-ab-o-hava hi nahin raha
shayad ukhaḌ gaya tiri yadon se rang-e-lams
hathon ko tere shauq-e-hina hi nahin raha
kyuun kaTti nahin hai mira dard mauj-e-mai
kya ai sharab tujh men nasha hi nahin raha
le kar to aa ga.e ho shikayat ka tum javab
par ab to tum se koi gila hi nahin raha
main kitni kitni der manata raha use
ruTha huun aaj to vo mana hi nahin raha
kya us ko main vafa ke taqaze bata.un ab
jab vo vafa ka ahd nibha hi nahin raha
kuchh roz se udaas hai dil aur bahut udaas
aur kyuun udaas hai ye bata hi nahin raha
Leave a Reply