ham par karega rahmaten parvardigar bhi
halat apne honge kabhi sazgar bhi
tu ne bhula di chahaten qaul-o-qarar bhi
ham muntazir rahe tire sarhad ke paar bhi
halanki kar chuka tha vo tark-e-ta.alluqat
par kaash muḌ ke dekhta bas ek baar bhi
Dera jama liya hai ḳhizan ne kuchh is tarah
ab ḳhush na kar sakegi ye fasl-e-bahar bhi
apni nigah men to rahe surḳh-ru sada
insan men hona chahiye itna vaqar bhi
ye apne rahnumaon ke va.adon ka hai asar
be-e’tibar ho gaya ab e’tibar bhi
ye kaisa daur aa gaya ‘mina’ ki ab yahan
sikkon ke mol bikta hai apnon ka pyaar bhi
Leave a Reply