• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hai Tarjuman Alam Aur Adib Hai Sardi

Hai Tarjuman Alam Aur Adib Hai Sardi

hai tarjuman alam aur adiib hai sardi

tabhi to nok-e-qalam se qarib hai sardi

dimagh arsh pe hai kanpta zamin pe hai

ai bande dars le umda ḳhatib hai sardi

main shaal oḌh ke jo baam par Tahalti huun

payam-e-dost ki shayad naqib hai sardi

larazti kanpti main ḳhud se kahti rahti huun

main milne ja.un to kaise raqib hai sardi

hava bhi sard hai patjhaḌ bhi hai daraḳhton par

firaq-o-hijr men lipTi ajiib hai sardi

basi hui hai faza men vo farhat-angezi

sulagte zaḳhmon ki behtar tabib hai sardi

‘sabila’ mausam-e-sarma bhi ek ne.amat hai

vo ḳhush-nasib hain jin ko nasib hai sardi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wo the Pahlu Mein Aur Thi Chandni Raat

poet

Ek Muddat Se Talabgar Hun Kin Ka in Ka

Mere suKHan Ko Naya moD Dene Aaya Tha

poet

KHwahish-E-Qatl-E-Am Karne Lage

Aarzuon Ne Uchhal-Kud Machai Hui Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet