vo sabr de ki na de jis ne be-qarar kiya
bas ab tumhin pe chalo ham ne inhisar kiya
tumhara zikr nahin hai tumhara naam nahin
kiya nasib ka shikva hazar baar kiya
subut hai ye mohabbat ki sada-lauhi ka
jab us ne va.ada kiya ham ne e’tibar kiya
ma.aal ham ne jo dekha sukun o jumbish ka
to kuchh samajh ke taḌapna hi iḳhtiyar kiya
mire ḳhuda ne mire sab gunah baḳhsh diye
kisi ka raat ko yuun main ne intizar kiya
Leave a Reply