vo mera ḳhvab jo mahtab hone vaala tha
palaT ke dekha to kam-ab hone vaala tha
barasti aag ka mausam bhi saath chalta hai
mira guman ki shadab hone vaala tha
bulava miTTi ka aaya tha saans lene par
safar to yuun bhi mira ḳhvab hone vaala tha
umaD ke aa.e the aansu ki jalti ankhon men
vafa ka rang bhi nayab hone vaala tha
Leave a Reply