vo jo har raah ke har mod par mil jaata hai
ab ke puchhenge ki us shakhs ka qissa kya hai
main vo patthar huun nahin jis ko mila sang-tarash
main ne har shakl ko apne men samo rakkha hai
yunhi chup-chap bhala baithe rahoge kab tak
koi darvaza kahin yuun bhi khula karta hai
jab bhi girti hai kisi kuche men koi divar
mujh ko lagta hai koi shakhs bahut roya hai
paanv jalte hain yahan jism bhi jal jaega
tum ne kiya soch ke sahra men qadam rakha hai
tutte bante hi ye umr guzar jaegi
meri har shakl men ik naqs ubhar aata hai
ham ne har daur ke siine men hain ghonpe khanjar
aur har daur ke siine se lahu tapka hai
tum ne puchha hai ki tum kya ho kahan ho kyuun ho
ye to batlao ki is soch men kya rakkha hai
dasht ke pedon se kya puchh rahe ho ‘abid’
bhuul jaao ki tumhen koi sada deta hai
Leave a Reply