vo jo dagh-e-ishq tha ḳhush-numa jo amanat-e-dil-e-zar tha
sar-e-bazm tha to charagh tha sar-e-rah tha to ghubar tha
use main hi janun huun doston kisu vaqt apna bhi yaar tha
kabhu mom tha kabhu sang tha kabhu phuul tha kabhu ḳhaar tha
tiri yaad hai ki bujhi bujhi tira zikr hai ki ruka ruka
tiri yaad se to sukun tha tire zikr se to qarar tha
ye to vaqt vaqt ki baat hai hamen un se koi gila nahin
vo hon aaj ham se ḳhafa ḳhafa kabhu ham se un ko bhi pyaar tha
vo nagar to kab ka ujaḌ gaya ham usi nagar se to aa.e hain
kahin maqbara tha ḳhulus ka to kahin vafa ka mazar tha
jise shauq tha tiri diid ka jise pyaas thi tire pyaar ki
jo tiri gali men muqim tha vahi ajnabi sar-e-dar tha
tire dil se mera ḳhulus-e-dil na jhalak saka to main kya karun
mire aks ki to ḳhata na thi tire a.ine pe ghubar tha
Leave a Reply