roz-o-shab ki koi surat to bana kar rakhkhun
kisi lahje kisi aahat ko saja kar rakhkhun
koi aansu sa ujala koi mahtab si yaad
ye khazine hain inhen sab se chhupa kar rakhkhun
shor itna hai ki kuchh kah na sakungi us se
ab ye socha hai nigahon ko daba kar rakhkhun
andhiyan haar gaiin jab tu khayal aaya hai
phuul ko tund havaon se bacha kar rakhkhun
mere anchal men sitare hi sitare hain ‘ada’
ye jo sadiyan hain judai ki saja kar rakhkhun
Leave a Reply