ab ye me.ar-e-shahr-yari hai
kaun kitna baḌa madari hai
ham ne raushan charagh kar to diya
ab havaon ki zimme-dari hai
ik musalsal safar men rakhta hai
ye jo andaz-e-taza-kari hai
kaun rahta hai apni had men yahan
kis ko ehsas-e-zimmedari hai
umr bhar sar-buland rakhta hai
ye jo andaz-e-inkisari hai
sirf bahar nahin mahaz khula
mere andar bhi jang jaari hai
miT rahi hai yahan zaban o ghazal
aur ghalib ka jashn jaari hai
Leave a Reply