vo jo be-niyaz-e-jahan kare mujhe us nazar ki talash hai
jo tujhe bana de gham-ashna mujhe us asar ki talash hai
na rahe jahan pe pahunch ke phir kisi dar pe jaane ki aarzu
jahan ishq ki bhi hai aabru mujhe aise dar ki talash hai
jahan bikhri pyaar ki dastan jahan zarra zarra hai astan
vo miri zamin mira asman usi rahguzar ki talash hai
hain tujhi se husn ki shoḳhiyan hain tujhi se ishq ki garmiyan
dil-e-zinda teri talash hi miri umr bhar ki talash hai
vo bhi kya maze ki thi zindagi jo safar safar men guzar ga.i
nahin manzilon men vo dil-kashi mujhe phir safar ki talash hai
jahan raqs men ho kiran kiran jahan ghunche chaTken chaman chaman
nazar aa.e jis men vo sim-tan mujhe us sahar ki talash hai
ye tabassum un ka tha luT gaya sar-e-rah dil ka ye qafila
vo jo be-ḳhabar sa chala gaya usi be-ḳhabar ki talash hai
jahan dard-o-dagh ki justuju jahan nit na.i na.i aarzu
ki jise talash-e-sukun nahin mujhe us jigar ki talash hai
Leave a Reply