vo jis ne mujh ko taḌpaya bahut hai
mujhe vo shaḳhs yaad aaya bahut hai
mohabbat ki kaTili rahguzar men
ḳhushi kam aur gham paaya bahut hai
vo mujh ko chhoḌ kar apne kiye par
bahut roya hai pachhtaya bahut hai
kisi ka naam sunte vaqt mujh ko
tumhara naam yaad aaya bahut hai
ka.i barson talak zalim jahan ne
hamen milne ko tarsaya bahut hai
main is dil ko jalana chahta huun
mujhe is dil ne taḌpaya bahut hai
Leave a Reply