vo jis ka aks lahu ko jaga diya karta
main ḳhvab ḳhvab men us ko sada diya karta
qarib aati jo tariḳh us ke milne ki
vo apne va.ade ki muddat baḌha diya karta
main zindagi ke safar men tha mashghala us ka
vo DhunD DhunD ke mujh ko ganva diya karta
use sameTta main jab bhi ek nuqte men
vo mere dhyan men titli uḌa diya karta
usi ke gaanv ki rahon men baiTh kar har roz
main dil ka haal hava ko suna diya karta
mujhe vo aankh men rakh kar ‘shumar’ pichhli shab
ajab ḳhumar men palken gira diya karta
na chheḌ mujh ko zamana vo aur tha jis men
faqir gaali ke badle dua diya karta
Leave a Reply