vo hue aise mehrban mujh par
baar hone laga jahan mujh par
kitni shaffaf zindagani thi
ab to chhane laga dhuan mujh par
us ne aa kar na kuchh safa.i di
qisse hote rahe bayan mujh par
gul ke manind ye sarapa tha
jaane kab aa ga.i ḳhizan mujh par
mere dam se chaman men rangat thi
rashk karti thiin titliyan mujh par
main jahan se chali bhi ja.un to
kya karega koi fughan mujh par
jab bhi us ne suni na baat miri
kitni baten huiin ayaan mujh par
ab to ‘nik.hat’ nahin hai phulon men
phir bhi uThti hain ungliyan mujh par
Leave a Reply