• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Is dil Ko Ham-Kanar Kiya Humne Kya Kiya

Is dil Ko Ham-Kanar Kiya Humne Kya Kiya

shah-naseer

is dil ko ham-kanar kiya ham ne kya kiya

dushman ko dost-dar kiya ham ne kya kiya

rahta yahi hai dil men shash-o-panj-e-yar se

aina kyuun do-char kiya ham ne kya kiya

mutthi bharam ki ghuncha-sifat is chaman men khol

asrar ashkar kiya ham ne kya kiya

dar-parda dosti hui ham apne haq men aah

mutrib-pisar ko yaar kiya ham ne kya kiya

islam bhi ba-jabr tha ai shaikh-o-barhaman

kyuun jabr ikhtiyar kiya ham ne kya kiya

tasbih to padi thi gale ek dusri

zunnar ko bhi haar kiya ham ne kya kiya

dil ko dukha ke chin-e-jabin-e-pari-vashan

juun barq be-qarar kiya ham ne kya kiya

kahne laga vo qabr pe ashiq ki kyuun guzar

sahvan sar-e-mazar kiya ham ne kya kiya

haihat ashna the jo mauj-e-bala ke pech

un ka na intizar kiya ham ne kya kiya

bahr-e-jahan se dida-o-danista juun hubab

ba-chashm-e-tar guzar kiya ham ne kya kiya

dasht-e-junun se tod ke rishte ko jeb ke

daman bhi taar kiya ham ne kya kiya

us sarv-qad ke ishq men ye phal mila ‘nasir’

har sad aah vaar kiya ham ne kya kiya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Patthar Bana Kar Arsh Se Phenka Gaya Tha Ek Main

Ek KHalish Si Hai Mujhe Taqdir Se

sheikh-ibrahim-zauq

Ek Sadma dard-E-dil Se Meri Jaan Par To Hai

Dila Mashuq Jo Hota Hai Wo Saffak Hota Hai

Sabr Karenge Jab Tak Ishq Nahin Hota

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet